Shadi ka Istikhara karne ka Tarika
Islam mein shadi ka martaba bahut zyada hain. Agar hum kisi aurat ko shadi karke apne ghar mein late hain to us aurat ki puri zimmidari hamare upar hoti hain. Usi tareeke se us aurat ko bhi chahiye ki woh apne shohar ka pura khayal rakhe. Isiliye shadi karne se pehle yeh jaan lena chahiye ki jisse hum shadi karne ja rahe hain woh hamare liye sahi humsafar rahega ki nahi. Lekin yeh janna bahut mushkil hain ki jis insaan se hum shadi karna chahte hain woh hamare liye sahi shareeke hayat hain ki nahi. Lekin Islam mein har sawal ka jawab hain. Islam mein sabse badhiya shadi ka Istikhara ka tarika bataya gaya hain woh hain Istikhara.
Istikhara karne se humko Allah SWT ki madad mil jati hain. Istikhara karne ke baad insaan ko so jana chahiye aur Allah SWT usko khawab mein dikhayenge ki uske liye kya sahi or kya galat hain. Isilye shadi karne se pehle shadi ka istikhara karne ka tarika ko kar lena chahiye. Bahut se logo ko istikhara ka tarika nahi maloom hain to unko chahiye ki woh Molvi saheb se iska tareeka maloom kar le. Shadi ke liye istikhara karne se pehle istikhara dua ko yaad kar lena chahiye.
Yeh istikhara dua bahut hi kaam ki dua hain. Aksar log istikhara ka tarika seekhne ke baad bhi usko sahi tareeke se nahi kar pate hain. Isilye unko chahiye jab woh shadi ke liye istikhara kare to Molvi saheb se puri madad leke kare. Aksar log yeh nahi tay kar pate hain ki arrange marriage kare ya love marriage. Maa baap chahte hain ki unka bacha arrange marriage kare. Lekin aaj kal zyadatar shaks shadi apni pasand se karna chahte hain. Iske liye sabse badhiya tareeka yeh hain ki shadi ka istikhara karne ka wazifa ko kiya jaye. Is wazifa ko karne se sabhi sawalo ke jawab mil jayenge.
Related Post: Jaldi Shadi Hone Ki Dua
Shadi Ke Liye Istikhara Karne ki Dua
Shadi ka istikhara karne ki dua ko jumah ki raat ko karna chahiye. Aur pure dhyan ke saath karna chahiye. Shadi ka istikhara karne ka tarika niche dia hai –
Sabse pehle taza wuzu bana le. Uske baad kisi saaf jagah par ja namaz beecha ke baith jaye. Esha ki namaz ke baad ye wazifa hoga, toh musalle se uthne ki zarurat nahi hai. Sabse pehle do rikat nafil namaz ko parhe. Phir Surah Fateha ko 5 baar parhe. Uske baad Surah Kafiroon ko 36 baar parhe. Uske baad Surah Kausar ko 56 baar parhe.
Uske baad shadi ka istikhara karne ka dua ko parhe- “Bismillahir Rahmanir Raheem Aghisni Ya Mogheeso”.
Is dua ko 501 baar parhe. Jab yeh shadi ka istikhara karne ki dua ko parhe to jis insaan se aap shadi karne chahte hain uske bare mein soche. Uske baad phir se Surah Fateha ko 5 baar parhe. Phir Allah SWT se sache dil se dua mange. Parhne ke baad so jaye. Insha Allah aapke khawab mein aapko apna jawab mil jayega. Khwab samajh na ayein toh aap uska matlab hamare Alim sahib se samajh sakte hain.
Leave a Reply