Istikhara Ka Tarika For Marriage in Islam

0
(0)

Istikhara Ka Tarika For Marriage

Kisi bhi insaan ke liye shadi ka faisla karna bilkul bhi aasaan nahi hota. Bahut mushkil hota hai ye tay kar pana ki jis insaan ka rishta aapke liye aaya hai kya vo hi insaan apka humsafar banne layak hai. Shadi ke faisle se judi kai batein kisi bhi aadmi ya aurat ko kaafi pareshaan kar sakti hai. Aisi kisi bhi pareshani ko door karne ke liye istikhara ka tarika for marriage aana bahut zaroori hai.

Jab koi insaan shadi ki umr par pahuchta hai to use kai rishte milte hai. Har kisi ki apne jeevan sathi se dher saari ummeedein hoti hai. Ye janna bhi bahut zaroori hota hai ki kaunsa rishta hamare liye sahi hai. Allah ne har kisi ke liye ek insaan banaya hai jiske sath shadi kar ke hamari zindagi behtareen ho jaati hai. Us insaan ko chunne ke liye Allah ki madad bhi hum aasaani se le sakte hai. Istikhara ka tarika for marriage (shadi) hi Allah Tala se madad maangne ka sabse sahi zariya hai.

Agar aap kisi se pyar karte hai to aap istikhara ka tarika for marriage padh sakte hai. Shadi ke liye asan istikhara dua padhne se aap ke lie us insaan se shadi karne ka faisla le paenge. Istikhara dua ki madad se aap ye jaan paenge ki aapka premi aapka jeevan sathi hai hai nahi.

Istikhara Ki Namaz Ka Tarika

If you are ready to get married, you must learn the istikhara ki namaz ka tarika for marriage. In Islam, this tareeka or stepwise process of performing istekhare ki dua will help you in making the right decisions for marriage.

Shadi ke liye istikhara ki namaz ka tarika love marriage aur arranged marriage dono ke liye apnaya ja sakta hai. Agar aap kisi se pyar karte hai to istikhara dua ki madad se aap ye jaan sakte hai ki apki shadi safal hogi ya nahi. Arranged marriage ke liye aaye rishte se aap us insaan ke baare me jaan sakte hai.

Istikhara Karne Ka Tarika

Istikhara karne ka tareeka sahi tarah se samajhna bahut zaroori hota hai. Isitkhara ki dua ko kabhi bhi bina vajah nahi karna chahiye. Ab hum aapko shadi ke liye istikhara ki namaz ka poora tarika bata rahe hai:

  • Istikhara karne ka tarika mein sabse pehle wudu karke aap khud ko saaf karna na bhoolein.
  • Raat ko sone se pehle ek shant kamre mein do rakat nafil padhein.
  • Rakat nafil padhne ke liye Surah Fatiha ke baad Surah Kafiroon padhein.
  • Surah Kafirun ke baad Surah Al-Ikhlas padhein.
  • Rakat nafil padhne ke baad aapko shadi ke liye istikhara ki dua padhni hai
  • Istikhara dua padhne ke baad sachhe dil se Allah SWT se shadi ke liye sahi faisla karne ki madad maangni hai.

Istikhara karne ka tarika aur shadi ke liye istikharaa dua janne ke liye aap hamare Maulvi sahab se baat kar sakte hai. Vo aapko aapke haalat aur mushkilon ke hisaab se sabse sahi istikhara karne ka tareeka samjha denge.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 0 / 5. Vote count: 0

No votes so far! Be the first to rate this post.

Leave a Comment

You cannot copy content of this page

× As-Salaam-Alaikum - How Can I help you?